Kehwa sabz chai ki rewayeti tyaari hai jo Pakistan, Afghanistan or wasti Asia ky kuch ilaaqon mein bary paimany per istamaal ki jaati hai
#kehwaa banany ka tarika
#how to make kehwa in Urdu-English
#traditional kehwa
#rewayeti khana
Ajza (Ingredients):
1- Paani (water) 2 cup
2- Cheeni (sugar) hasb-e-zaiqa
3- Kehwaa 1 chai ka chamch (teaspoon)
4- Namak (salt) hasb-e-zaiqa
Tarqeeb (Directions)
1- Sab se pehely paaani ko ubaal lain is me cheeni shaamil karain
2- Phir is me kehwa shaamil karain
3- Pehley taiz aanch per pakayen phir baad mein halki aanch per pakayen
4- Phir chaan kar cup mein dalain
5- Or leemon k katray shaamil karain
Maz-e-daar garma garm Kehwa Tyaar hai ...
Benefits Of Kehwa :'
Kehwa mein mojood masaly apki qowat-e-mudafiat(immunity) barhaty hain
Kashmiri kehwa wazan(weight) kam karny mein bhi madad(helpful) karta hai
Yeh ap ky aml-e-inhizaam(digestive system) ko behtr bnata hai
Kehwa apki jald(skin) or baalon(hairs) ky liye bohat mufeed(beneficial) hota hai
Yeh energy booster hai
Kehwa sardi (cold) or khansi(cough) ka fori ilaaj(cure) hai
0 Comments